Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Thursday, May 20, 2010

Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya

Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to
Sab kucch zindagi meiN chup-chaap sehna sikha di

Door Ho Ya Pass Ho, Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho.

Door Ho Ya Pass Ho, Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho.
Kehte Hai Dosti Sabse Bada Rishta Hai,
Toh Suno,
Hamare Liye Toh Dosti Ka Matlab Hi Aap Ho.

Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...

Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...
Phool aggar mehek hai to khushbu aap hoo...
Barf aggar thandi hai to thandak aap hoo...
Zinda aggar hum hai to zindagi AAP hoo...

Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne bal khake paani kinaron se takraya,

Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne bal khake paani kinaron se takraya, Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Jab baarish ki boondon ne dharti ko chooma,

Humne zameen par bikharte sitaaro ko paya,
Jitne sitaaron ko saawan ne barsaya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Fiza ne jab gulshan mein foolon ko mehkaya,

To jitani baar mehak ko humne apni saanson mein paya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Baadlon ke peeche se jab suraj yun muskaya,

Uski naram kiranon se tune Jab zindagi ki lau ko jalaya,
Utani baar ae khuda tu yaad aaya.

Gulshan ki raahon se jab main guzra,

To jitane khushgwaar ehsaason ko maine kareeb paya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Aye kaash ke tu har waqt

Yun hi mere saatjh rahe
Na main kuch kahun
Tu bhi khamosh hi rahe
Bas nazron se nazrein
Isharon mein baatein kahe
Aur dekh kar yun humein
Koi aur deewana bhi yeh kahe
Ki aye khuda tu yaad aaya
Aye khuda tu yaad aaya

Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo,

Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo,
Aankhein sach bolti hain, mahobbat chhupaya na karo,

Log har baat ka afsana bana lete hain,

Sab ko Haalaat-e-Dil sunaya na karo,


Yeh zaroori nahin har shakhs maseeha hi ho,

Pyar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo,

Shahar-e-Ehsaas mein takleefe bahut hain,

Subah dil ko sheeshe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Aankhon me basi ek tasveer hai

Aankhon me basi ek tasveer hai
Jane kab wo sheeshe me utar jayega
Pairon me lagi rasmo ki zanjeer hai
Jane kab chut jayega
Sabki apni apni hoti takdeer hai
Jane kab badal jayega

Mein hoon tum ho aur khamoshi, Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi,
Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.

Dekhte hue zamana guzara hai,

Falak par door talak chandni ki sargoshi,

Mein hoon tum ho aur khamoshi...


Toofanon ke caravan dil mein samaye,

Bhatakate rahe kadam nazarein tujhe par jamaaye.

Mil jao tum kisi raah kisi mod par,

Dharkan ab sahamne lagi waqt ki khamoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi...


Kyon tumse ummeed lagi hai har pal,

Manzil ho tum to phir kaisi faramoshi.

Labon ke khulte hi raaz khul jaayenge,

Reh jaayega milan aur ishq ki madhoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi.

Ghamon se durr...

Ghamon se durr...
Yaadon mein churr...
Lagta hai aaj milna hai zaroorr...
Ishq karne ka bahana hai huzurr...
Dil deneka saudo hai manzoorr...