Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Sunday, April 25, 2010

Kub Tak Dil ka Aaine Main Mera Aks

Kub Tak Dil ka Aaine Main Mera Aks çhupaoge
Kab Tak Rahoge khafa kabhi To Maan Jaoge
Mujhe ßhoolne ki çhah Main kahien khud ko Na ßhula Dena
Dil k §abhi Raston Main §irf Mujhe Hi Paoge
Mera Aks Tumhari Ankhon Main Har Pal Jhilmilata Hy
Mohabbat ki Haqeeqat ko kab Tak Jhutlaoge
Rasm-E-Duniya He §amajh ka kabhi To Izhaar kar Dena
Yeh Lamhey Rooth Gaye To Umar ßhar Pachtaoge

ik raat hoi barsaat bohat

ik raat hoi barsaat bohat
main royaa saari raat bohat
har ghum tha zamaanay ka lekin
main tanha tha us raat bohat
phir aankh say ik saawan barsa
jab sehar hoi to khayaal aaya
woh baadal kitna tanha tha
jo barsa saari raat bohat

Hum jo toote

Hum jo toote to is terha toote
Jese hathon se gir kr pathar per
Koi shaffaaf aiena toote
Jese palkon se toot’ta ansu
Jese seene me ik kaman toote
Jese umeed ki nazuk dali
Berg mausum me nagahaan toote
Jese ankhon me khawb ki doori
Waqt-e takmeel se ulajh jae
Jese pairon taley zamin nikley
Jese sir per ye asmaan toote
Jese ik shaks pe bharosa kia
Is pe jitne they ashiyaan toote
Jese wehshat me hosh a jae
Jese ta’der me dehaan toote
Ab jo reza howey to sochtey hen
Kis ne dekha tha tootna apna
Hum jo toote to raayegaan toote!