Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Friday, May 21, 2010

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har pal mar ke aaj phir jee jaane do,

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har pal mar ke aaj phir jee jaane do,

Is ishq ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,

Mujhe ishq ke aaghosh mein kho jaane do,

Tadap ki aag hai judaai ki bahon mein,

Mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do,

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,

Mujh benaam ko is naam mein ghul jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki sanam,

Mujhe is ishq ki aag mein jal jaane do.

Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,

Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
Lafzon mein tarannum si aa gayi hai,
Arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai,
Jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai.

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,
Le gaya chheen ke kaun aaj tera Sabr-o-Qarar,
Be-Qarari tujhe aye dil kabhi aisi to na thi.

Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum

Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum
Meri zindagi kehlati hai
Par har saas ho tum
Dunya ke liye shayad 'koi' ho
Lekien ies dil ke liye khaas ho tum

Main deewaani hoon is baat se inkar nahin,

Main deewaani hoon is baat se inkar nahin,
Kaise kahein ki hamein aapse pyar nahin,
Kuchh to kasoor hai aapki nazron ka bhi,
Yun hi to ham akele to gunhegar nahi.

Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana,

Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana,
Pyar Ka Yeh Rista Hamesha U Hi Barkarar Rakhana,
Bichad Jaye Kabhi Aap Se Hum,
Aankho Me Hamesha Hamara Intezar Rakhana...

Pal Pal Tarsa Hu Is Pal Ke Liye,

Ye Pal AAya Bhi To Kuch Pal Ke Liye,
Socha Tha Ise Zindagi Ka Ek HASIN Pal Bana Lu,
Par Ye Pal Thahara Bhi To Kuch Pal Ke Liye....

Kalam Uthayi Hai Labz Nahi Milta,

Jisse Dhundh Rahe Hai,
Woh Shakas Nahi Milta,

Firte Hai Woh Zamane Ki Talash Mein...

Do pyar karne walon se log jalte hain,

Do pyar karne walon se log jalte hain,
Tarah tarah ki baatein karte hain,
Jab suraj aur chaand ka hota hai milan
To usey bhi log grahan kehte hai.

mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage tum door se hee, apne se lagne lage tum

mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage tum door se hee, apne se lagne lage tum

tumhare hasne ka andaaz, baat karne ki adaa

kar chuki hai mujhe tumpar fida

nazar mila kar tumhara nazar churana, yun hee bahane banana

bana chuka hai mujhe tumhara deewana

ugte suraj mein tumhara chehra, dubte chaand mein tum ho

zindagi ki raah par chal rahe hain hum, humara saathi tum ho

khayalo mein aa jaate ho yun hee baithe-baithe

saath sajate ho sapne na jaane kaise-kaise

hum yahan muskurate hue tumhara intezaar kar rahe hain

tum par aitbaar karke tum hee se pyaar kar rahe hain