Mein hoon tum ho aur khamoshi,
Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.
Dekhte hue zamana guzara hai,
Falak par door talak chandni ki sargoshi,
Mein hoon tum ho aur khamoshi...
Toofanon ke caravan dil mein samaye,
Bhatakate rahe kadam nazarein tujhe par jamaaye.
Mil jao tum kisi raah kisi mod par,
Dharkan ab sahamne lagi waqt ki khamoshi.
Mein hoon tum ho aur khamoshi...
Kyon tumse ummeed lagi hai har pal,
Manzil ho tum to phir kaisi faramoshi.
Labon ke khulte hi raaz khul jaayenge,
Reh jaayega milan aur ishq ki madhoshi.
Mein hoon tum ho aur khamoshi.
Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.
Dekhte hue zamana guzara hai,
Falak par door talak chandni ki sargoshi,
Mein hoon tum ho aur khamoshi...
Toofanon ke caravan dil mein samaye,
Bhatakate rahe kadam nazarein tujhe par jamaaye.
Mil jao tum kisi raah kisi mod par,
Dharkan ab sahamne lagi waqt ki khamoshi.
Mein hoon tum ho aur khamoshi...
Kyon tumse ummeed lagi hai har pal,
Manzil ho tum to phir kaisi faramoshi.
Labon ke khulte hi raaz khul jaayenge,
Reh jaayega milan aur ishq ki madhoshi.
Mein hoon tum ho aur khamoshi.
No comments:
Post a Comment