"Tu Jo Rootha meri palkon pay nami reh jay gi
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi
Tark-e-Ulfaat ke Irade par zara phir sochiye
Main chali jaaongi aur mohabet dekhti reh jay gi
Ye nahi Kehte ke Tuj bin Jee nahi paengy hum
Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jay gi
Piyar ke sadqe ye lagta hai hamare Darmiyaan
Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jay gi
Main To Tae kar ke Chali jaongi duniya ka Safar
Mere baren mein ye Dunia Sochti reh jay gi
Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun
Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jay gi
Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati
Bhigi Barsaat me jalata hu, tujhe kya maloom? Main
samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom? Jabse dekha hai mohabbat ka
hasi Tajamahal, Kate haathon ko chhuppata hu, tujhe kya maloom?
Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai Meri Nakaamyabi Hai Koi Haar To Nahi Hai Hum Tumhe Paa Na Sake, To Kya Howa Lekin Sirf Tumhe Paa Lena Pyaar To Nahi Hai