Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Thursday, June 11, 2009

Kya Karoon Abb Koi Bhi Acha Nahin Lagta Mujhey
Tu Bhi Pehley Ki Tarha Apna Nahin Lagta Mujhey

Abb Teri Baatein Mairey Dil Mein Utarti Hi Nahin
Tu Woh Hi Hai Par Tera Lehja Nahin Lagta Mujhey

Tu To Abb Aadhey Badan Say Saath Chalta Hai Mairey
Terey Shaanon Pay Tera Chehra Nahin Lagta Mujhey

Tu Kabhi Taqseem Karta Tha Hawaein Chaar Soo
Abb Terey Bhi Paas Ekk Jhonka Nahin Lagta Mujhey

Abb Lifaafey Say Teri Khushboo Nahin Aata Mujhey
Khat Bhi Terey Haath Ka Likha Nahin Lagta Mujhey
Ab Aansun Ko Aankhun Main Sajana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna Ke Tumse Bichar Ke Khush Hain
Hamain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedun Se Behlaana Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aap ka Humnay
Umar Kat Chuke Hai Ab To Hamay Jaana Hoga
Barishoon ka intezar tha
dil milne ko bekarar tha

ek taraf judai ek taraf unka pyar tha
kuch ankahi ansuni baatein thi zuban par
dil mei kuch shararat bhara khumar tha

socha tha jub milenge khoob saari baatein hongi
par baaton ka kya dil to pyar ka bimaar tha

woh pyar deyta to saare dard -o-ghum door ho jaate
dil chah kar bhi milna payaa unse
darta tha phir juda ho jaye ga
pal bhar ka jo deedar tha
Barishoon ka intezar tha
dil milne ko bekarar tha

ek taraf judai ek taraf unka pyar tha
kuch ankahi ansuni baatein thi zuban par
dil mei kuch shararat bhara khumar tha

socha tha jub milenge khoob saari baatein hongi
par baaton ka kya dil to pyar ka bimaar tha

woh pyar deyta to saare dard -o-ghum door ho jaate
dil chah kar bhi milna payaa unse
darta tha phir juda ho jaye ga
pal bhar ka jo deedar tha
Bhari Mehfil Main Tanha
Mujhe Rehna Sikha Diya
Tere Pyaar Ne Dunia Ko
Jhoota Kehna Sikha Diya
Kaise Dard Ya Khushi Ka
Ehsaas Nahi Hai Ab Toh
Sab Kuch Zindagi Main
Chup Chup Sehna Sikha Diya


sana

nazar.jpgJab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye…

Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.

Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye…

Teri aankain jhuki jhuki,
Tera chehra khila khila,
Jab tere chehre per haath ghumaya,
To aadha kilo fair & lovely mila