Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Monday, July 26, 2010

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber
Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum
.
Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastay khonay lagay hain ..main mohabbat aur tum
.
Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain..main mohabbat aur tum
.
Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker
Khwab main sonay lagay hain … main mohabbat aur tum
.
Kho gay awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi
Khamoshi dhoondne lagay hain .. main mohabbat aur tum

Jab kabhi koi gham sataaey

Jab kabhi koi gham sataaey
Dil ko koi baat na bhaaey
Aankh sey sagaar chalkta jaey
Baat kar kay dekhna hum sey
Kya pataa…!!
Ek aansoo kum ho jaey
Jab kabhi dil bechaein ho jaey
Bicharrney par ye aur rulaey
Milney par ye aur tarrpaaey
Baat kar kay dekhna hum sey
Kya paata…!!!
Dil ko thora chain aa-jaey
Jab kabhi koi sapna aaey
Sapney mein koi apna aaey
Baat kar kay dekhna hum sey
KYA Paata…!!!
Woh sapnaa tabeer ho jaaey…

Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga

Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga
Naqash Mera Uss Ne Mita Diya Ho ga
.
Jo Mere Sath, Meri Yad Se Wabasta Tha
Uss Ne Har Woh Lamha Jala Diya Ho Ga
.
Sard Shamon Ki Bichari Hoyi khushbo Ne
Us Ki Tanhyion Ko Mehka Diya Ho ga
.
Berukhi k Samander Mein Uss Ne Akhir
Mera Har ik Khawab Baha Diya Ho ga
.
Zard Musam Ki Udaas Ahaton ne Usay
Younhi Chup Chaap Baithay Rula Diya Ho Ga

Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay

Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay
Yaad aaye ga Mera Pyaar to Kya Karo gay
.
Satatey ho aise jaise Ajnabi hoon Main
Jab Roothe ga Tum se Yaar to Kya Karo gay
.
Apnao gay kisi aur ko mujhe tanha chor kar
Usey hoga na tum se Pyaar to Kya Karo gay
.
Aakhir Laut aao gye Tum Meri Raahon pe
Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karo gay
.
Abhi to Hanste ho Meri Wafa’on pe ‘MOHSIN’
Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karo gay

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai
.
Banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai
.
Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai
.
Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
.
Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
Dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai

Sari zindgi mein Ik pal to ESA ho,

Sari zindgi mein
Ik pal to ESA ho,
.
“Jo Tera/Mera Ho”
.
Jis mein koi tesra na ho,
Hum door tk 1 dosre se
Batain krte Chalty jayin,
.
Aur un baton ko sun ny wala,
Or koi na ho,
.
Bas main Or tum Hon,
U hi bethe bethe ksi choti si baat pe,
Ham hans paren hanste hanste Aankhon sy,
Aansoo Nikl paren,
.
Un Aansoun ko saaf karny wala Or koi Na Ho,
Bas main Or Tum Ho,
A kash Saari Zindagi Main,
Ek pal to Aisa Ho Jo sirf Mera\Tera Ho
Sirf Tera/Mera…

Kabhi jo toot k barsa December…

Kabhi jo toot k barsa December…
-… Laga apna.. Bohat apna December!
.
Guzar jata hai sara saal yun to…
-…Nahin kat’ta magar tanha december..

Thursday, July 1, 2010

Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa

Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa
itni duri hy phr b ye ehsas-e-qurbat kesa

itni chahat k dil mein sama nahi skey
chahatoan ka hy ye silsila kesa
wo lgta hy muje apni zat adhora hissa
meri zat ki takmeel ka hy ye ma'amla kesa
koi yad ab na yad hy oski yad k bad
oski yadoan ka hy ye silsila kesa
q bheeg jati hein aankheinjb ata hy khyal oska
osky khyal py mera hy ye rona kesa