Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Sunday, May 23, 2010

Sisakte hain kabhi saham se jaate hain,

Sisakte hain kabhi saham se jaate hain,
Khamosh khud hi mein simat se jaate hain,
Dare hue se shwaas tadpa sa jaate hain,
Bekhyaal kisi yaad mein jab,
Kabhie tumhein mehsoos kar jaate hain.

Banjar se is tan pe yaadon ki chadar lipte,

Mayoos palkon se aansu beh jaate hain,
Saawan mein baras jaane ke baad,
Jaise baadal zameen par bikhar jaate hain,
Yeh jism-o-jaan yoon tanhayi mein kachot jaate hain,
Bekhyaal kisi yaad mein jab,
Kabhie tumhein mehsoos kar jaate hain.

Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki,

Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki,
Aakhon me basgayi hai surat-e-yaar ki,
Ab jaane kab khatm hongi ghadi ye intazaar ki,
AAjaye wo to khil jaye har kali bahaar ki.

Ey dil sabre kar

Ey dil sabre kar
Tera bhi waqt ayega
Pyaar milte hi tujhse
Har gam door jayega
Koi dard dega tujhe
Koi pyari baato se tujhe behlayega
Kisi ke ishq me tum toet jawoge
Aur kisiki nafrat tujhe bikhar jayega
Ey dil sabre kar
tera bhi waqt ayega….

phool ho masum sa ya khawab ho tum

phool ho masum sa ya khawab ho tum
Masumiyat ki ek khuli kitab ho tum

Ashiq padhte hain jise raat din
Ishaq me likha huwa o baab ho tum

Dil laga kar Dil jalati ho sab ka
Sab se achi ho par badi kharab ho tum

Missal kya de koi tumhari saadgi ka
Husan me sab se lajawab ho tum

Shaad k be panah sawalo ka
jo dhundne se nahi milta o jawab ho tum

Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,

Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,
Zeher dushman se liya nahin ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
Us pyar ke bina jiya nahin ja sakta

Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai

Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai,
Isliye hum unhe CHAHATE hain kayonki CHAHAT ka har lafaz poora hota hai.

Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,

Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,
Samne aate hi nazar jhukate hain woh,
Baat karte nahin ya hoti nahin,
Par shukar hai jab bhi milte hain muskurate hain woh.

Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,

Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,
Jazbat chhup nahin sakte kabhi deewaron se,
Koi mita nahin paya mohabbat kabhi kisi ki,
Yeh to shola hai jo nikalta hai angaaron se.

Jab tak tumhein na dekhu,

Jab tak tumhein na dekhu,
Dil ko karaar nahin aata,
Gar kisi gair ke saath dekhu,
To phir saha nahin jata.