sana.jan

ONLY 4 U

Photobucket flag http://content.yieldmanager.edgesuite.net/atoms/19/91/b1/ca/1991b1ca70cf7556458cb83a7f769db6.jpg

SANA Pages

  • SANA HOME MY BLOG PAGES VISIT
  • NEW MOVIES FULL FREE
  • MOBILE NEW
  • SONG NEW
  • PC PICTURES AND SCRAPES
  • NEW COMPUTER SOFTWERS FULL
  • PAKISTANI SONGS
  • SCRAPES
  • SMS
  • mobile tune codes

FRESH WAP FOR U ALL DOWNLOADS

  • FRESH WAP FOR U

ONLINE USER

Free Global Counter

Search This Blog

Sunday, October 10, 2010

Yahee soch kar

Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay ~"""sana jee"""~



K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
Posted by sana at 4:45 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Yahee soch kar

"Tu Jo Rootha meri palkon pay


"Tu Jo Rootha meri palkon pay nami reh jay gi
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi
Tark-e-Ulfaat ke Irade par zara phir sochiye
Main chali jaaongi aur mohabet dekhti reh jay gi
Ye nahi Kehte ke Tuj bin Jee nahi paengy hum
Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jay gi
Piyar ke sadqe ye lagta hai hamare Darmiyaan
Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jay gi
Main To Tae kar ke Chali jaongi duniya ka Safar
Mere baren mein ye Dunia Sochti reh jay gi
Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun
Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jay gi

Posted by sana at 4:42 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: "Tu Jo Rootha meri palkon pay

Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI,

Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI,
Na safar k rahy na watan k rahy,
Tukry huwy jism k itny k,
Na kafan k rahy, na dafan k rahy!


Posted by sana at 4:40 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI

~:dil jo TooTaa to ka`ee haath


~:dil jo TooTaa to ka`ee haath du'aa ko uTThe

aise maaHaul meiN ab kis ko paraayaa samjhuN !:~

Posted by sana at 4:39 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: ~:dil jo TooTaa to ka`ee haath

ATJAHAR KI DEHLEEZ PAY BEKHRAY

ATJAHAR KI DEHLEEZ PAY BEKHRAY
BAY CHEHRA PATON KI SOURAT



HUM KO SATH LEY PEHRTI HA!
TERY DEHAAN KI TEAZ HAWA!!!





Posted by sana at 4:38 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: ATJAHAR KI DEHLEEZ PAY BEKHRAY

Koi jo puche naam

Koi jo puche naam O nishaan, to bata dena aey kasid,
Takallus "sana" hai aur doston ki dil mein rehti hai...


Posted by sana at 3:02 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Koi jo puche naam

bas ik nigaah kii thii us ne


























bas ik nigaah kii thii us ne
saaraa cheharaa nikhar gayaa hai



Posted by sana at 2:59 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: bas ik nigaah kii thii us ne

Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey

Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein
Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati
Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka
Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati
Posted by sana at 2:56 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey

WOH JO DIKHTI HAIN

 
WOH JO DIKHTI HAIN TERI KISMAT NAHI
BAHUT BHOOLE RAHE HO HAR KAHIN
NAHIN AATA TUMHE KISI KO KHINCHNA APNI OOR
PARIYON PAR NAHI CHALTA KHWABON KA ZOR
Posted by sana at 2:54 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: WOH JO DIKHTI HAIN

Aaj yun Mousam Ne dii hai mohabat ki khabar

Aaj yun Mousam Ne dii hai mohabat ki khabar
Phoot ker rone lagi hai mein ,Mohabat aur Tum

Hum Ne joonhi ker liya mehsoos manzil hai kareeb
Raaste khone Lage hain mein mohabat Aur tum

Chaand Ki kirno ne hum Ko iss Tarah Bosaa Diya
Dewtaa hone lagi hain mein mohabat Aur tum

aaj Phir Mehroomion Ki daastaanein Orh ker
Khaaq Mein sone lage hain mein mohabat Aur tum

Kho gaye Andaaz Bhi Aawaaz Bhi Alfaaz Bhi
Khamosh Dhone Lage hain mein mohabat Aur tum
Posted by sana at 2:51 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Aaj yun Mousam Ne dii hai mohabat ki khabar

Bhigi Barsaat me jalata

Bhigi Barsaat me jalata hu, tujhe kya maloom?
Main samandar hu bikharata hu, tuze kya maloom? Jabse dekha hai mohabbat ka hasi Tajamahal, Kate haathon ko chhuppata hu, tujhe kya maloom?

Posted by sana at 2:49 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Bhigi Barsaat me jalata

Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe,

Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe,

Sanso Ko Bhi Uski Khabar Na Lage,

Bahut Khubsurat Hai Rishta Humara,

Duwa Hai Ise Kisiki Nazar Na Lage.

Posted by sana at 2:47 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe

MeRi KahaNi MeRa QisSa H0

MeRi KahaNi MeRa QisSa H0 Tum,



MeRi SaanSain MeRi Duniya H0 Tum,




Tumhe KySe Mai Bh00La D00n

KySe DiL Se MiTa D00n,



MeRi Har Ek Saans Ka HisSa H0 Tum
Posted by sana at 2:46 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: MeRi KahaNi MeRa QisSa H0

Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai

Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai
Meri Nakaamyabi Hai Koi Haar To Nahi Hai
Hum Tumhe Paa Na Sake, To Kya Howa
Lekin Sirf Tumhe Paa Lena Pyaar To Nahi Hai
Posted by sana at 2:46 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai
Pyar Nahi Kiya To Karke Dekho
Zalim Har Dard Sahena Sikha Deta Hai
Posted by sana at 2:45 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Pyar Sabhi

Maangi Thi Hum Ne


Maangi Thi Hum Ne
Tum Se mohabbat
Ki Zindagi

Tum Ne Tou Zindagi
Ko Mohabbat Bana
Dia ... !!!
Posted by sana at 2:43 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Maangi Thi Hum Ne

Pucha k rooh nikalti hai jism se kis tarha

Pucha k rooh nikalti hai jism se kis tarha

Posted by sana at 2:39 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Pucha k rooh nikalti hai jism se kis tarha

Monday, July 26, 2010

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber
Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum
.
Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastay khonay lagay hain ..main mohabbat aur tum
.
Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain..main mohabbat aur tum
.
Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker
Khwab main sonay lagay hain … main mohabbat aur tum
.
Kho gay awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi
Khamoshi dhoondne lagay hain .. main mohabbat aur tum
Posted by sana at 2:43 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum

Jab kabhi koi gham sataaey

Jab kabhi koi gham sataaey
Dil ko koi baat na bhaaey
Aankh sey sagaar chalkta jaey
Baat kar kay dekhna hum sey
Kya pataa…!!
Ek aansoo kum ho jaey
Jab kabhi dil bechaein ho jaey
Bicharrney par ye aur rulaey
Milney par ye aur tarrpaaey
Baat kar kay dekhna hum sey
Kya paata…!!!
Dil ko thora chain aa-jaey
Jab kabhi koi sapna aaey
Sapney mein koi apna aaey
Baat kar kay dekhna hum sey
KYA Paata…!!!
Woh sapnaa tabeer ho jaaey…
Posted by sana at 2:42 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jab kabhi koi gham sataaey

Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga

Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga
Naqash Mera Uss Ne Mita Diya Ho ga
.
Jo Mere Sath, Meri Yad Se Wabasta Tha
Uss Ne Har Woh Lamha Jala Diya Ho Ga
.
Sard Shamon Ki Bichari Hoyi khushbo Ne
Us Ki Tanhyion Ko Mehka Diya Ho ga
.
Berukhi k Samander Mein Uss Ne Akhir
Mera Har ik Khawab Baha Diya Ho ga
.
Zard Musam Ki Udaas Ahaton ne Usay
Younhi Chup Chaap Baithay Rula Diya Ho Ga
Posted by sana at 2:40 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga

Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay

Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay
Yaad aaye ga Mera Pyaar to Kya Karo gay
.
Satatey ho aise jaise Ajnabi hoon Main
Jab Roothe ga Tum se Yaar to Kya Karo gay
.
Apnao gay kisi aur ko mujhe tanha chor kar
Usey hoga na tum se Pyaar to Kya Karo gay
.
Aakhir Laut aao gye Tum Meri Raahon pe
Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karo gay
.
Abhi to Hanste ho Meri Wafa’on pe ‘MOHSIN’
Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karo gay
Posted by sana at 2:37 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai

Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bhut yaha eak chiraag dhondte hai
.
Banaye thy tamsha zindagi ko es tarh
Ke un mherbaano ka elaaj dhondhte hai
.
Koi en andhero main meri dil ki shmma jala de
Hum apni badnasibi ka raaz dhnodhte hai
.
Hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
Sisho ke en tokdo main apna aaj dhondhte hai
.
Maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
Dil ko bhlane ke liye koi haseen khaab dhondhte hai
Posted by sana at 2:34 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai

Sari zindgi mein Ik pal to ESA ho,

Sari zindgi mein
Ik pal to ESA ho,
.
“Jo Tera/Mera Ho”
.
Jis mein koi tesra na ho,
Hum door tk 1 dosre se
Batain krte Chalty jayin,
.
Aur un baton ko sun ny wala,
Or koi na ho,
.
Bas main Or tum Hon,
U hi bethe bethe ksi choti si baat pe,
Ham hans paren hanste hanste Aankhon sy,
Aansoo Nikl paren,
.
Un Aansoun ko saaf karny wala Or koi Na Ho,
Bas main Or Tum Ho,
A kash Saari Zindagi Main,
Ek pal to Aisa Ho Jo sirf Mera\Tera Ho
Sirf Tera/Mera…
Posted by sana at 2:33 PM 3 comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Sari zindgi mein Ik pal to ESA ho

Kabhi jo toot k barsa December…

Kabhi jo toot k barsa December…
-… Laga apna.. Bohat apna December!
.
Guzar jata hai sara saal yun to…
-…Nahin kat’ta magar tanha december..
Posted by sana at 2:31 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Kabhi jo toot k barsa December…

Thursday, July 1, 2010

Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa

Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa
itni duri hy phr b ye ehsas-e-qurbat kesa

itni chahat k dil mein sama nahi skey
chahatoan ka hy ye silsila kesa
wo lgta hy muje apni zat adhora hissa
meri zat ki takmeel ka hy ye ma'amla kesa
koi yad ab na yad hy oski yad k bad
oski yadoan ka hy ye silsila kesa
q bheeg jati hein aankheinjb ata hy khyal oska
osky khyal py mera hy ye rona kesa
Posted by sana at 6:58 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa

Monday, May 24, 2010

Ab to tanhai bhi hame achhi lagne lagi hai,

Ab to tanhai bhi hame achhi lagne lagi hai,
Apke khayalon se ye sajne lagi hai,
Ab koi dost ya duniya ki zarurat nahi,
Ye tanhai hi zindagi lagne lagi hai.
Posted by sana at 1:00 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Ab to tanhai bhi hame achhi lagne lagi hai

Unse milan ki ghadi ab dur nahi lagti,

Unse milan ki ghadi ab dur nahi lagti,
Ab hame zindagi benoor nahi lagti,
Jaane kya aalam hoga us tadapte dilon ka,
Ab ye mohabbat majboor nahi lagti.
Posted by sana at 12:59 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Unse milan ki ghadi ab dur nahi lagti

Waqt apni rawani main dhalta raha

Waqt apni rawani main dhalta raha
Main tanha tha, Tanha hi Chalta raha

kabhi hansta tha apne naseebon pe Main,
kabhi andar hi andar main jalta raha

kahein shikway mile or kahein thokrain
Chotein aesi lagein k sanbhalta raha.

Us ko panay ki khatir to sab kuch kiya,
Wohi Sungdil tha, Rastay badalta Raha.

Main tanha tha Tanha hi Chalta raha!!!!
Posted by sana at 12:58 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Waqt apni rawani main dhalta raha

Jab jab chand ko dekhte hai teri surat nazar aati hai,

Jab jab chand ko dekhte hai teri surat nazar aati hai,
Dur sahi phir bhi tu kareeb nazar aati hai,
Kuch der aur jo dekhu ,tu aur bhi khubsurat nazar aati hai,
Aur jee chahta hai bas yuhi dekha kare,tujhme hi duniya nazar aati hai...
 
Posted by sana at 12:57 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jab jab chand ko dekhte hai teri surat nazar aati hai

Meri kismat me shayad teri judaai hi likhi hai,

Meri kismat me shayad teri judaai hi likhi hai,
Aur kisi k saath ki mujhe aarzoo nahi,
Jab khuda ko yahi manzur hai,
To mujhe teri judaai kabul hai, kabul hai, kabul hai....!
Posted by sana at 12:55 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Meri kismat me shayad teri judaai hi likhi hai

Yu Zindagi ab jiyi nahi jati,

Yu Zindagi ab jiyi nahi jati,
Teri judaai ab humse sahi nahi jati,
Pata nahi kya lika hai kismat me,
Tere bina to maut bhi nahi aati.
Posted by sana at 12:54 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Yu Zindagi ab jiyi nahi jati

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,

Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,
Aapke chehre ko khila gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka,
Warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.
Posted by sana at 12:53 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Hum na hote to aapko gazal kaun kehta

Aaj chand ko dekha,jaise wo aap hi ho,

Aaj chand ko dekha,jaise wo aap hi ho,
Wo mujhse parda kiye hue hai,jaise aap,
Bas ab hame parda hatne ka intazaar hai,
Apne chand ko dekhne hum bekaraar hai
Posted by sana at 12:52 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Aaj chand ko dekha, jaise wo aap hi ho

Sunday, May 23, 2010

Sisakte hain kabhi saham se jaate hain,

Sisakte hain kabhi saham se jaate hain,
Khamosh khud hi mein simat se jaate hain,
Dare hue se shwaas tadpa sa jaate hain,
Bekhyaal kisi yaad mein jab,
Kabhie tumhein mehsoos kar jaate hain.

Banjar se is tan pe yaadon ki chadar lipte,

Mayoos palkon se aansu beh jaate hain,
Saawan mein baras jaane ke baad,
Jaise baadal zameen par bikhar jaate hain,
Yeh jism-o-jaan yoon tanhayi mein kachot jaate hain,
Bekhyaal kisi yaad mein jab,
Kabhie tumhein mehsoos kar jaate hain.
Posted by sana at 1:21 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Sisakte hain kabhi saham se jaate hain

Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki,

Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki,
Aakhon me basgayi hai surat-e-yaar ki,
Ab jaane kab khatm hongi ghadi ye intazaar ki,
AAjaye wo to khil jaye har kali bahaar ki.
Posted by sana at 1:19 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki

Ey dil sabre kar

Ey dil sabre kar
Tera bhi waqt ayega
Pyaar milte hi tujhse
Har gam door jayega
Koi dard dega tujhe
Koi pyari baato se tujhe behlayega
Kisi ke ishq me tum toet jawoge
Aur kisiki nafrat tujhe bikhar jayega
Ey dil sabre kar
tera bhi waqt ayega….
Posted by sana at 1:18 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Ey dil sabre kar

phool ho masum sa ya khawab ho tum

phool ho masum sa ya khawab ho tum
Masumiyat ki ek khuli kitab ho tum

Ashiq padhte hain jise raat din
Ishaq me likha huwa o baab ho tum

Dil laga kar Dil jalati ho sab ka
Sab se achi ho par badi kharab ho tum

Missal kya de koi tumhari saadgi ka
Husan me sab se lajawab ho tum

Shaad k be panah sawalo ka
jo dhundne se nahi milta o jawab ho tum
Posted by sana at 1:16 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: phool ho masum sa ya khawab ho tum

Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,

Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,
Zeher dushman se liya nahin ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
Us pyar ke bina jiya nahin ja sakta
Posted by sana at 1:14 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta

Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai

Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai,
Isliye hum unhe CHAHATE hain kayonki CHAHAT ka har lafaz poora hota hai.
Posted by sana at 1:11 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai

Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,

Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,
Samne aate hi nazar jhukate hain woh,
Baat karte nahin ya hoti nahin,
Par shukar hai jab bhi milte hain muskurate hain woh.
Posted by sana at 1:10 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh

Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,

Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,
Jazbat chhup nahin sakte kabhi deewaron se,
Koi mita nahin paya mohabbat kabhi kisi ki,
Yeh to shola hai jo nikalta hai angaaron se.
Posted by sana at 1:09 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se

Jab tak tumhein na dekhu,

Jab tak tumhein na dekhu,
Dil ko karaar nahin aata,
Gar kisi gair ke saath dekhu,
To phir saha nahin jata.
Posted by sana at 1:07 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jab tak tumhein na dekhu

Friday, May 21, 2010

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har pal mar ke aaj phir jee jaane do,

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har pal mar ke aaj phir jee jaane do,

Is ishq ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,

Mujhe ishq ke aaghosh mein kho jaane do,

Tadap ki aag hai judaai ki bahon mein,

Mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do,

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,

Mujh benaam ko is naam mein ghul jaane do,

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki sanam,

Mujhe is ishq ki aag mein jal jaane do.
Posted by sana at 5:32 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Har pal mar ke aaj phir jee jaane do, Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do

Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,

Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
Lafzon mein tarannum si aa gayi hai,
Arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai,
Jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai.
Posted by sana at 5:30 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi,
Le gaya chheen ke kaun aaj tera Sabr-o-Qarar,
Be-Qarari tujhe aye dil kabhi aisi to na thi.
Posted by sana at 5:29 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum

Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum
Meri zindagi kehlati hai
Par har saas ho tum
Dunya ke liye shayad 'koi' ho
Lekien ies dil ke liye khaas ho tum
Posted by sana at 5:27 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum

Main deewaani hoon is baat se inkar nahin,

Main deewaani hoon is baat se inkar nahin,
Kaise kahein ki hamein aapse pyar nahin,
Kuchh to kasoor hai aapki nazron ka bhi,
Yun hi to ham akele to gunhegar nahi.
Posted by sana at 5:26 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Main deewaani hoon is baat se inkar nahin

Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana,

Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana,
Pyar Ka Yeh Rista Hamesha U Hi Barkarar Rakhana,
Bichad Jaye Kabhi Aap Se Hum,
Aankho Me Hamesha Hamara Intezar Rakhana...

Pal Pal Tarsa Hu Is Pal Ke Liye,

Ye Pal AAya Bhi To Kuch Pal Ke Liye,
Socha Tha Ise Zindagi Ka Ek HASIN Pal Bana Lu,
Par Ye Pal Thahara Bhi To Kuch Pal Ke Liye....

Kalam Uthayi Hai Labz Nahi Milta,

Jisse Dhundh Rahe Hai,
Woh Shakas Nahi Milta,

Firte Hai Woh Zamane Ki Talash Mein...
Posted by sana at 5:24 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana

Do pyar karne walon se log jalte hain,

Do pyar karne walon se log jalte hain,
Tarah tarah ki baatein karte hain,
Jab suraj aur chaand ka hota hai milan
To usey bhi log grahan kehte hai.
Posted by sana at 5:21 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Do pyar karne walon se log jalte hain

mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage tum door se hee, apne se lagne lage tum

mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage tum door se hee, apne se lagne lage tum

tumhare hasne ka andaaz, baat karne ki adaa

kar chuki hai mujhe tumpar fida

nazar mila kar tumhara nazar churana, yun hee bahane banana

bana chuka hai mujhe tumhara deewana

ugte suraj mein tumhara chehra, dubte chaand mein tum ho

zindagi ki raah par chal rahe hain hum, humara saathi tum ho

khayalo mein aa jaate ho yun hee baithe-baithe

saath sajate ho sapne na jaane kaise-kaise

hum yahan muskurate hue tumhara intezaar kar rahe hain

tum par aitbaar karke tum hee se pyaar kar rahe hain
Posted by sana at 5:20 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: apne se lagne lage tum, dil ke sachhe lagne lage tum door se hee, mujhe achhe lagne lage

Thursday, May 20, 2010

Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya

Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to
Sab kucch zindagi meiN chup-chaap sehna sikha di
Posted by sana at 7:41 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya

Door Ho Ya Pass Ho, Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho.

Door Ho Ya Pass Ho, Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho.
Kehte Hai Dosti Sabse Bada Rishta Hai,
Toh Suno,
Hamare Liye Toh Dosti Ka Matlab Hi Aap Ho.
Posted by sana at 7:40 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho., Door Ho Ya Pass Ho

Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...

Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...
Phool aggar mehek hai to khushbu aap hoo...
Barf aggar thandi hai to thandak aap hoo...
Zinda aggar hum hai to zindagi AAP hoo...
Posted by sana at 7:35 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...

Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne bal khake paani kinaron se takraya,

Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne bal khake paani kinaron se takraya, Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Jab baarish ki boondon ne dharti ko chooma,

Humne zameen par bikharte sitaaro ko paya,
Jitne sitaaron ko saawan ne barsaya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Fiza ne jab gulshan mein foolon ko mehkaya,

To jitani baar mehak ko humne apni saanson mein paya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Baadlon ke peeche se jab suraj yun muskaya,

Uski naram kiranon se tune Jab zindagi ki lau ko jalaya,
Utani baar ae khuda tu yaad aaya.

Gulshan ki raahon se jab main guzra,

To jitane khushgwaar ehsaason ko maine kareeb paya,
Utani baar aye khuda tu yaad aaya.

Aye kaash ke tu har waqt

Yun hi mere saatjh rahe
Na main kuch kahun
Tu bhi khamosh hi rahe
Bas nazron se nazrein
Isharon mein baatein kahe
Aur dekh kar yun humein
Koi aur deewana bhi yeh kahe
Ki aye khuda tu yaad aaya
Aye khuda tu yaad aaya
Posted by sana at 7:32 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne bal khake paani kinaron se takraya

Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo,

Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo,
Aankhein sach bolti hain, mahobbat chhupaya na karo,

Log har baat ka afsana bana lete hain,

Sab ko Haalaat-e-Dil sunaya na karo,


Yeh zaroori nahin har shakhs maseeha hi ho,

Pyar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo,

Shahar-e-Ehsaas mein takleefe bahut hain,

Subah dil ko sheeshe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Posted by sana at 7:28 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo

Aankhon me basi ek tasveer hai

Aankhon me basi ek tasveer hai
Jane kab wo sheeshe me utar jayega
Pairon me lagi rasmo ki zanjeer hai
Jane kab chut jayega
Sabki apni apni hoti takdeer hai
Jane kab badal jayega
Posted by sana at 7:25 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Aankhon me basi ek tasveer hai

Mein hoon tum ho aur khamoshi, Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi,
Jane kab door hogi ishq ki madhoshi.

Dekhte hue zamana guzara hai,

Falak par door talak chandni ki sargoshi,

Mein hoon tum ho aur khamoshi...


Toofanon ke caravan dil mein samaye,

Bhatakate rahe kadam nazarein tujhe par jamaaye.

Mil jao tum kisi raah kisi mod par,

Dharkan ab sahamne lagi waqt ki khamoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi...


Kyon tumse ummeed lagi hai har pal,

Manzil ho tum to phir kaisi faramoshi.

Labon ke khulte hi raaz khul jaayenge,

Reh jaayega milan aur ishq ki madhoshi.

Mein hoon tum ho aur khamoshi.
Posted by sana at 7:22 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jane kab door hogi ishq ki madhoshi., Mein hoon tum ho aur khamoshi

Ghamon se durr...

Ghamon se durr...
Yaadon mein churr...
Lagta hai aaj milna hai zaroorr...
Ishq karne ka bahana hai huzurr...
Dil deneka saudo hai manzoorr...
Posted by sana at 7:19 AM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Ghamon se durr...

Wednesday, May 19, 2010

Chandani ratoan main sara jahan sota hai,

Chandani ratoan main sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yaadon me koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare.
Posted by sana at 12:58 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Chandani ratoan main sara jahan sota hai

Hasraton ki Nigaaho

Hasraton ki Nigaaho

Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai…

Posted by sana at 12:56 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Hasraton ki Nigaaho

Tumhein ishq ho

Tumhein ishq ho

Tumhein ishq ho ye khuda kare…
koi tum ko us se juda kare…
tere hont pe na hansi rahe…
teri aankh mein bhi nami rahe…
tujhey hijr ki wo jharii lage…
tu milan ki har pal dua kare…
tere khawaab bikhren gali gali…
tu bi kirchi kirchi chuna kare…
tujhey ishq per phir yaqeen ho…
isay tasbiyon mein parha kare…
mein kahon ke ishq to dhong hei…
aur tu ishq ishq kaha kare…
Posted by sana at 12:55 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Tumhein ishq ho

Jasda-e-dost nakam

Jasda-e-dost nakam

Jasda-e-dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par aye dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!

Posted by sana at 12:52 PM No comments:
Email ThisBlogThis!Share to XShare to FacebookShare to Pinterest
Labels: Jasda-e-dost nakam
Newer Posts Older Posts Home
Subscribe to: Posts (Atom)

Comments

Not using Html Comment Box  yet?

No one has commented yet. Be the first!

rss

Blog Archive

  • ►  2009 (8)
    • ►  June (7)
      • ►  Jun 11 (7)
    • ►  September (1)
      • ►  Sep 28 (1)
  • ▼  2010 (128)
    • ►  March (18)
      • ►  Mar 18 (3)
      • ►  Mar 20 (2)
      • ►  Mar 24 (9)
      • ►  Mar 25 (1)
      • ►  Mar 27 (1)
      • ►  Mar 28 (1)
      • ►  Mar 30 (1)
    • ►  April (16)
      • ►  Apr 04 (1)
      • ►  Apr 23 (1)
      • ►  Apr 24 (2)
      • ►  Apr 25 (3)
      • ►  Apr 26 (2)
      • ►  Apr 27 (4)
      • ►  Apr 28 (1)
      • ►  Apr 29 (2)
    • ►  May (69)
      • ►  May 02 (5)
      • ►  May 03 (2)
      • ►  May 05 (4)
      • ►  May 06 (5)
      • ►  May 08 (2)
      • ►  May 10 (8)
      • ►  May 11 (2)
      • ►  May 18 (1)
      • ►  May 19 (7)
        • Jasda-e-dost nakam
        • Tumhein ishq ho
        • Hasraton ki Nigaaho
        • Chandani ratoan main sara jahan sota hai,
      • ►  May 20 (8)
        • Ghamon se durr...
        • Mein hoon tum ho aur khamoshi, Jane kab door hogi ...
        • Aankhon me basi ek tasveer hai
        • Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na...
        • Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya, To jitne ...
        • Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo...
        • Door Ho Ya Pass Ho, Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho.
        • Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya
      • ►  May 21 (8)
        • mujhe achhe lagne lage, dil ke sachhe lagne lage t...
        • Do pyar karne walon se log jalte hain,
        • Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana,
        • Main deewaani hoon is baat se inkar nahin,
        • Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum
        • Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,
        • Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
        • Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do, Har pal mar...
      • ►  May 23 (9)
        • Jab tak tumhein na dekhu,
        • Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,
        • Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh,
        • Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka tees...
        • Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,
        • phool ho masum sa ya khawab ho tum
        • Ey dil sabre kar
        • Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki,
        • Sisakte hain kabhi saham se jaate hain,
      • ►  May 24 (8)
        • Aaj chand ko dekha,jaise wo aap hi ho,
        • Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,
        • Yu Zindagi ab jiyi nahi jati,
        • Meri kismat me shayad teri judaai hi likhi hai,
        • Jab jab chand ko dekhte hai teri surat nazar aati ...
        • Waqt apni rawani main dhalta raha
        • Unse milan ki ghadi ab dur nahi lagti,
        • Ab to tanhai bhi hame achhi lagne lagi hai,
    • ►  July (8)
      • ►  Jul 01 (1)
        • Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa
      • ►  Jul 26 (7)
        • Kabhi jo toot k barsa December…
        • Sari zindgi mein Ik pal to ESA ho,
        • Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
        • Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay
        • Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga
        • Jab kabhi koi gham sataaey
        • Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber P...
    • ▼  October (17)
      • ▼  Oct 10 (17)
        • Pucha k rooh nikalti hai jism se kis tarha
        • Maangi Thi Hum Ne
        • Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
        • Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai
        • MeRi KahaNi MeRa QisSa H0
        • Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe,
        • Bhigi Barsaat me jalata
        • Aaj yun Mousam Ne dii hai mohabat ki khabar
        • WOH JO DIKHTI HAIN
        • Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey
        • bas ik nigaah kii thii us ne
        • Koi jo puche naam
        • ATJAHAR KI DEHLEEZ PAY BEKHRAY
        • ~:dil jo TooTaa to ka`ee haath
        • Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI,
        • "Tu Jo Rootha meri palkon pay
        • Yahee soch kar

About Me

sana
KARACHI, ISLAM, Pakistan
View my complete profile

Labels

  • "Tu Jo Rootha meri palkon pay (1)
  • ~:dil jo TooTaa to ka`ee haath (1)
  • Aaj chand ko dekha (1)
  • Aaj Kal (1)
  • Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain …main mohabbat aur tum (1)
  • Aaj yun Mousam Ne dii hai mohabat ki khabar (1)
  • Aankhon me basi ek tasveer hai (1)
  • Aap Hamare Liye Kuch Khaas Ho. (1)
  • Ab to tanhai bhi hame achhi lagne lagi hai (1)
  • apne se lagne lage tum (1)
  • ATJAHAR KI DEHLEEZ PAY BEKHRAY (1)
  • Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi (1)
  • Badalon Ke Darmian Kuchh aisi Sazish Hui (1)
  • Ban jaoun ager tm sa tumain kesa lagy ga? (1)
  • bas ik nigaah kii thii us ne (1)
  • Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya (1)
  • Bhigi Barsaat me jalata (1)
  • Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo... (1)
  • Chakh liya zaayeka-e-shayari jab se (1)
  • Chandani ratoan main sara jahan sota hai (1)
  • Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai (1)
  • Dhadkan Hamari Tumse Jo Kahe (1)
  • Dil hai akela aur hai use kisika intezar (1)
  • dil ke sachhe lagne lage tum door se hee (1)
  • Dil me mujhe basa ke to dekh (1)
  • DIL MEIN HALKA SA DARD (1)
  • Do pyar karne walon se log jalte hain (1)
  • Door Ho Ya Pass Ho (1)
  • Ey dil sabre kar (1)
  • Faasle Mita Kar Aapas Me Pyar Rakhana (1)
  • Fiza ne jab dariya mein pani ko sehlaya (1)
  • Ghamon se durr... (1)
  • Hame kitni hasrat hai unke deedaar ki (1)
  • Har pal mar ke aaj phir jee jaane do (1)
  • Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey (1)
  • Hasraton ki Nigaaho (1)
  • Hum na hote to aapko gazal kaun kehta (1)
  • Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta (1)
  • Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay (1)
  • Jab jab chand ko dekhte hai teri surat nazar aati hai (1)
  • Jab kabhi koi gham sataaey (1)
  • Jab tak tumhein na dekhu (1)
  • jaise wo aap hi ho (1)
  • Jane kab door hogi ishq ki madhoshi. (1)
  • Jasda-e-dost nakam (1)
  • jo aansoo dil mein girte hain (1)
  • Jo dil ko chuh jaye Wo ehsaas ho tum (1)
  • Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI (1)
  • Kaagaz pe hum ne zindagi likh di (1)
  • Kabhi jo toot k barsa December… (1)
  • Kayi baar hansaya hai zindagi ne hume (1)
  • Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai (1)
  • Khushi ke palo mein hume apna bana (1)
  • Kisi Ki Quarbaton Mein Bhula Diya Ho Ga (1)
  • Koi jo puche naam (1)
  • Koi rishta nhi phr b tum se ye ta'aluq kesa (1)
  • Maangi Thi Hum Ne (1)
  • Main deewaani hoon is baat se inkar nahin (1)
  • Mein hoon tum ho aur khamoshi (1)
  • MeRi KahaNi MeRa QisSa H0 (1)
  • Meri kismat me shayad teri judaai hi likhi hai (1)
  • Muddton Ke Baad Aaj Fir Us se (1)
  • mujhe achhe lagne lage (1)
  • Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do (1)
  • phool ho masum sa ya khawab ho tum (1)
  • Pucha k rooh nikalti hai jism se kis tarha (1)
  • Pyaar ka phela Ishq ka doosra aur mohabaat ka teesra lafaz adhoora hota hai (1)
  • Pyar ko chhod kar tum koi aur baat karo (1)
  • Pyar Sabhi (1)
  • Raaz dil ka dil mein chhupate hain woh (1)
  • Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se (1)
  • Samandar ki nahi dil ko thi kuch boondo ki (1)
  • Samander ke kinare par likh ke mera naam mitaya na karo (1)
  • Sari zindgi mein Ik pal to ESA ho (1)
  • Sisakte hain kabhi saham se jaate hain (1)
  • To jitne bal khake paani kinaron se takraya (1)
  • Tumhein ishq ho (1)
  • Unse milan ki ghadi ab dur nahi lagti (1)
  • Waqt apni rawani main dhalta raha (1)
  • WOH JO DIKHTI HAIN (1)
  • Yahee soch kar (1)
  • Yu Zindagi ab jiyi nahi jati (1)
  • Zindagi ko di itni ehmiyat (1)

Blog Has Been Update every day

FAVORITE LINKS 4 U

  • ISLAMIC BLOG
  • ALL DOWNLOADS 4 U
  • FAVOURITE MOVIES ONLINE
loading ...
Awesome Inc. theme. Theme images by 1Photodiva. Powered by Blogger.